Surah Al-Hijr

Para     13
SURAH 15 
Surah   Al-Hijr
 ALLAH K NAAM SY SHUROO JO BOHUT MEHRBAN NEHAYAT REHEM FARMANY WALA HY


  1. ALIF LAAAM RAA (Haqiqi muaani Allah aur Rasool s.a.w.w he behtar janty heñ), Ye (bar-guzida) Kitaab aur Roshan Quran ki Aayateñ heñ¤  <LAST AAYAT OF 13th PARA>13th Para ka tarjuma (June 19 to September 24, 2012) 98 din me mukammal huwa.

     13th Para (WA MAAA OBARRIO) ki tafseel ye hy.

    Ruku : 19
    Aayaat    :    155
      



    Surah : Yousuf
    Aayat : 53 to 111
    Surah : Ar-Ra'ad
    Aayat : 1  to 43
    Surah : Ibrahim
    Aayat : 1 to 52
    Surah : Al-Hijr
    Aayat : 1












    Para     14
    SURAH 15 
    Surah   Al-Hijr
  2. Kuffaar (Aakhirat meiñ Mominoñ par Allah ki Rehmat k manaazir daikh kr) baar baar aarzoo kreñ gy k kaash! wo Musalman hoty 02¤<FIRST AAYAT OF 14th PARA> 
  3. Aap (s.a.w.w gham-geen na hoñ) onheñ chhorh dejiye wo khaaty (peety) raheñ aur aish krty raheñ aur (on ki) jhooti ommeedeñ onheñ (Aakhirat sy) ghafil rakheñ phir wo anqreeb (apna anjaam) jaan leñ gy ¤
  4. Aur Ham ny koi bhi basti halaak naheeñ ki magar ye k os k liye aik maaloom noshta ( e qanoon) tha (jis ki onhoñ ny khilaaf-warzi ki aur apny anjaam ko ja pohnchy)¤
  5. Koi bhi qom (qanoon-e-arooj o zawaal ki) apni muqarrara muddat sy na aagy barh sakti hy aur na peechhy hatt sakti hy¤ 
  6. Aur (Kuffaar gustakhi krty huwy) kehty heñ: Ay wo Shakhs Jis par Quran otaara gea hy! Beshak Tum deewany ho¤ 
  7. Tum hmary paas Frishtoñ ko q naheeñ ly aaty (jo Tumhary Rasool hony aur Quran Sharif k Kitab-e-Elahi hony ki gwahi deñ) agar Tum sachy ho? ¤ 
  8. Ham Frishton ko naheeñ otaara krty magar (faisla-e) haq k sath (yani jab azaab ki gharhi aa pohnchy to os k nifaaz k liye otaarty heñ) aur os waqt onheñ muhlat naheeñ di jati ¤
  9.  Beshak ye Zikr-e-Azeem (Quran) Ham ny he otaara hy aur yaqinan Ham he is ki hifaazat kreñ gy ¤
  10.  Aur beshak Ham ny Aap (s.a.w.w) sy qabal pehli Ommatoñ meiñ bhi Rasool bhaijy thy ¤ 
  11. Aur on k paas koi Rasool naheeñ aata tha magar ye k wo Os k sath mazaaq kia krty thy¤
  12.  isi tarah Ham os (tamas'khar aur istehza) ko mujrimoñ k dilloñ meiñ dakhil kr dety heñ ¤ 
  13. Ye log is (Quran) par Emaan naheeñ laeñ gy aur beshak pehloñ ki (yehi) ravish guzr chuki hy ¤ 
  14. Aur agar Ham on par aasmaan ka koi darwaaza (bhi) khol deñ (aur on k liye ye bhi mumkin bna deñ k) wo sara din os meiñ (sy) oupar charhty rahaiñ ¤
  15.  (Tabb bhi) ye log yaqinan (ye) kahaiñ gy k hmari aankhaiñ (kisi heela-o-fraib k zarriye) baandh di gai heñ balky ham logoñ par jadoo kr dia gea hy ¤
  16.  Aur beshak Ham ny aasmaan mein (kehkashaoñ ki soorat mein sitaroñ ki hifaazat k liye) qilly bnaey aur Ham ny is (khalaai kaenaat) ko daikhny waloñ k liye aaraasta kr dia ¤
  17.  Aur Ham ny is (aasmaani kaenaat k nizaam) ko har mardood-o-shetaan (yani sarkash quwwat k sharr-angaiz amal) sy mehfooz kr dia (Sha'yateen aasmanoñ meiñ dakhil hoty thy aur wahaañ ki khabraiñ kaahnoñ k paas laty thy. Jab Eesa a.s paida huwy to Sha'yateen 3 aasmanoñ sy rok diye gaey. Jab Sarwar-e-Aalam s.a.w.w ki Wilaadat Ba-Sa'aadat hui to tmaam aasmanoñ sy Sha'yateen manna kr diye gaey)¤
  18.  Magar jo koi bhi chori chhuppy sun'ny k liye aa ghussa to os k peechhy aik (jalta) chamakta shahaab ho jata hy (Shahaab os sitaary ko kehty heñ jo Shola k misl roshan hota hy aur Frishty os sy Sha'yateen ko maarty heñ) ¤ 
  19. Aur zmeen ko Ham ny (golai k bawjood) phaila dia aur Ham ny is mein (mukhtlif madoñ ko baaham mila kr) mazboot pahaarh bna diye aur Ham ny is meiñ har jins ko (matlooba) twaazan k mutabiq nashoo-o-numa di¤ 
  20. Aur Ham ny is meiñ tumhary liye asbaab-e-ma'eeshat paida kiye aur on (insanoñ, jaanwaroñ aur prindoñ) k liye bhi jinheñ tum rizq mu'hayya naheeñ krty¤ 
  21. Aur (kaenaat) ki koi bhi cheez aisi naheeñ hy magar ye k Hmary paas os k khazaany heñ or Ham osy sirf mu'ayyan miqdar k mutabiq h otarty rehty heñ ¤ 
  22. Or Ham hawaoñ ko badloñ ka bojh othaey huwy bhaijty heñ phir Ham aasmaan ki janib sy paani otaarty heñ phr Ham osy tum he ko pilaaty heñ aur tum os(pani)k khazaany rakhny waly naheeñ ho ¤ 
  23. Aur beshak Ham he jilaaty heñ aur (Ham he) maarty heñ aur Ham he (sab k) Waaris ( o Maalik) heñ ¤ 
  24. Aur beshak Ham on ko bhi janty heñ jo tum sy pehly guzr chukky aur beshak Ham baad meiñ aany waloñ ko bhi janty heñ ¤ 
  25. Aur beshak Aap (s.a.w.w) ka Rabb he to onheñ (Roz-e-Qiaamat) jamma farmaey ga.Beshak Wo barhi Hikmat wala khoob jan'ny wala hy ¤ 
  26. Aur beshak Ham ny insaan ki (keem'yai) takhleeq aisy khusk bjny waly gaary sy ki jo (pehly) sin-raseeda (aur dhoop aur deegar tabi'aati aur keem'yai asraat k baes taghayyar pzeer ho kr) seyaah bd-boo daar ho chuka tha ¤ 
  27. Aur is sy pehly Ham ny Jinnoñ ko shadeed jalaa deny wali aag sy paida kia jis me dhuwwañ naheeñ tha ¤ 
  28. Aur (wo waqea yaad kejiye) jab Aap (s.a.w.w) k Rabb ny  Frishtoñ sy farmaya k MAIÑ sin-raseeda (aur) seyaah bd-boo daar, bjny waly gaary sy aik Bashri Paikar paida krny wala hoñ ¤ 
  29. Phir jab MAIÑ os ki (zaahiri) tashkeel ko kaamil tor par durust haalat meiñ la chukoñ aur os Paikar ( e Bashri k baatin) meiñ Apni (Noorani) Rooh phoonk dooñ to tum os k liye Sajdah meiñ gir parhna ¤ 
  30. Pus (os Paikar-e-Bashri k andar Noor -e-Rabbaani ka charaagh jalty he) saary k saary Frishtoñ ny Sajdah kea ¤
  31. Siwaey Iblees k, os ny Sajdah krny waloñ k sath hony sy inkaar kr dia¤ 
  32.  (iblees ny Aadam a.s ko Sajdah krny sy inkaar kia to Allah ny) irshaad farmaya: Ay iblees! Tujhy kia ho gea hy k tu Sajdah krny waloñ k sath na huwa ¤ 
  33. (iblees ny) kaha: Maiñ har giz aisa naheeñ (ho skta) k Bashar ko Sajdah kroñ jisy Tu ny sin-raseeda (aur) seyaah bd-boo daar, bjny waly gaary sy takhleeq kia hy ¤ 
  34. (Allah ny) farmaya: Tu yahaañ sy nikal ja pus beshak tu mardood (raanda-e-dargaah) hy ¤
  35. Aur beshak tujh par Roz-e-Jazaa tak laanat (parhti) rahy gi ¤
  36. (Jab Allah ny iblees ko mardood thehra dia to) iblees ny kaha: Ay Parwardigaar! Pus Tu mujhy os Din tak muhlat dy dy (jis Din) log (dobaara) othaey jaeñ gy (iblees ny Qeyaamat k qaem ho jany yani nafkha-e-saania tak ki muhlat is liye maangi ta k wo mot ki sakhti sy bach jaey. Q k nafkha-e-saania k baad tmaam logoñ ko dobaara zinda kr dia jaey ga aur is k baad kisi ko mot na aey gi)¤ 
  37. Allah ny farmaya: So beshak tu muhlat-yaafta logoñ meiñ sy hy ¤ 
  38. Waqt-e-muqarrarah k Din (yani Qeyaamat k nafkha-e-oula) tak (nafkha-e-oula k baad tmaam makhlooq marr jaey gi is liye iblees ko b nafkha-e-saania ki bjaey nafkha-e-oula tak he muhlat di gai ta k wo bhi mot ka zaeqa chak'khy aur mot ki sakhti sy na bach paey) ¤ 
  39.  iblees ny kaha: Ay Parwardigaar! is sabbab sy jo  Tu ny mujhy gumraah kia maiñ (bhi) yaqinan in k liye zameen meiñ (gunahoñ aur na-farmaniyoñ ko) khoob aaraasta-o-khush numa bna dooñ ga aur in sb ko zuroor gumraah kr k rahooñ ga ¤ 
  40. Siwaey Tery on barguzida bndoñ k jo (mery aur nafs k fraiboñ sy) khulaasi pa chuky heñ ¤ 
  41. Allah ny irshaad farmaya: Ye (ikhlaas he) raasta hy jo seedha Mery darr par aata hy ¤ 
  42. Beshak Mery (ikhlaas-yaafta) bndoñ par tera koi zor naheeñ chally ga siwaey on bhatky huwoñ k  jinhoñ ny teri raah ikhtiaar ki ¤ 
  43. Aur beshak on sb k liye wada ki jagga Jahannam hy¤ 
  44. Jis k 7 darwazy heñ (Jahannam, Lazzaa, Hutamah, Saeer, Saqqar, Jaheem, Haavia), har darwazy k liye on meiñ sy alag hissa makhsoos kia gea hy ¤ 
  45.  Beshak muttaqi log baghoñ aur chashmoñ meiñ rahaiñ gy ¤
  46.  (on sy kaha jaey ga) in meiñ salaamti k sath bay-khof ho kr dakhil ho jao ¤ 
  47. Aur Ham wo saari kadoorat bahir khainch leñ gy jo (dunia meiñ) on k seenoñ meiñ (mughaalta k baes aik dusry sy) the, wo (Jannat meiñ) bhai bhai bann kr aamny saamny bethy hoñ gy ¤
  48.  Onheñ wahaañ koi takleef na pohnchy gi aur na he wo wahaañ sy nikaaly jaeñ gy ¤  
  49. (Ay Habib-e-Mukarram s.a.w.w) Aap Mery bndoñ ko bta dejiye k MAIÑ he beshak barha bakhshny wala nehaayat Mehrban hooñ¤ 
  50. Aur (is bat sy bhi aagaah kr dejiye) k Mera he azaab barha dard-naak azaab hy ¤
  51. Aur (Ay Habib s.a.w.w Aap) onheñ Ibrahim (a.s) k Mehmanoñ ki khabar (bhi) sunaeye (Jinheñ Allah ny is liye bhaija tha k Ibrahim a.s ko Farzand Is'haaq a.s ki bashaarat deñ aur Loot a.s ki qom ko halaak kreñ. Ye Mehmaan Jibraeel a.s aur deegar Frishty thy) ¤ 
  52. Jab wo (Mehmaan) Ibrahim (a.s) k paas (insani shakkal meiñ) aey to onhoñ ny (Aap a.s ko) salaam kia. Ibrahim (a.s) ny kaha k Ham aap sy kuchh darr mehsoos kr rahy heñ (is liye k wo bay-waqt aey aur khana bhi na khaya) ¤
  53.  (Mehmaan Frishtoñ ny) kaha: Aap khaef na hoñ Ham (Frishty heñ aur) Aap ko aik Danish-mand larhky (Is'haaq a.s ki paidaesh) ki khush-khabri sunaaty heñ ¤
  54.  Ibrahim (a.s) ny (Frishtoñ sy) kaha: Tum Mujhy is haal meiñ (baity ki) khush-khabri suna rahy ho jab k Mujhy burhaapa laahaq ho chuka hy so ab tum kis cheez ki khush-khabri sunaaty ho (kia Hammeñ phir jawaan kia jaey ga ya isi haalat meiñ baita ata farmaya jaey ga)¤
  55. Onhoñ ny kaha: Ham Aap ko sachi bashaarat dy rahy heñ so Aap na-omeed na hoñ ¤ 
  56. Ibrahim (a.s) ny kaha: (Maiñ ma'yoos naheeñ huwa)  Apny Rabb ki Rehmat sy gumrahoñ k siwa aur kon ma'yoos ho sakta hy (Mujhy to sirf is bat par hairat hui) ¤
  57. Ibrahim (a.s) ny dar'yaft kia: Ay (Allah k) bhaijy huwy Frishto! (Is'haq a.s ki paidaesh ki bashaarat k elawa) aur tumhara kia kaam hy (jis k liye aey ho)?¤
  58. Onhoñ ny kaha: Ham aik mujrim qom ki taraf bhaijy gaey heñ¤
  59.  Siwaey Loot (a.s) k ghraany k (q k wo Emaan-daar heñ), beshak ham on sb ko zuroor bachaa leñ gy ¤ 
  60. Ba-juz On (yani Loot a.s) ki bivi k, ham (ye) tay kr chuky heñ k wo (yani Loot a.s ki bivi apny Kufr k sabbab) zuroor (azaab k liye) peechhy reh jany waloñ meiñ sy hy¤
  61.  Phir jb Loot (a.s) k khandan k pas wo frastada (Frishty khub-soorat nojwanoñ ki shakkal meiñ) aey ¤
  62.  Loot (a.s ko andesha huwa k qom hawas-parasti k baes in k darr pay ho gi to Aap) ny (Frishtoñ sy) kaha: Beshak tum ajnabi log (maaloom hoty) ho (na to yahaañ k bashindy ho na koi musaafrat ki alaamat tum meiñ pai jati hy. Tum yahaañ q aey ho?) ¤ 
  63. Onhoñ ny kaha: (aisa naheeñ) balky ham Aap k pas wo (azaab) ly kr aey heñ (jis k naazal hony ka Aap apni qom ko khof dilaya krty thy aur) jis meiñ ye log shakk krty rahy heñ (aur Aap ko jhutlaty rahy heñ) ¤ 
  64. Aur ham Aap k pas haq (ka faisla) ly kr aey heñ aur ham yaqinan sachy heñ ¤
  65.  (Frishtoñ ny Loot a.s sy kaha) Pus Aap Apny ehl-e-khana ko raat k kisi hissa meiñ ly kr nikl jaeye aur Aap khud on k peechhy peechhy chaliye aur Aap meiñ sy koi murh kr (bhi) peechhy na daikhy (k qom par kia blaa naazal hui aur wo kis azaab meiñ mubtla kiye gaey) aur Aap ko jahaañ jany ka hukam dia gea hy (wahaañ) chaly jaeye¤ 
  66. Aur Ham ny Loot (a.s) ko is faisla sy bazarria Wahi aagah kr dia k beshak on k subah krty he on logoñ ki jarh katt jaey gi (aur tmam qom azaab sy halaak kr di jaey gi)¤ 
  67.  Aur ehl-e-shehr (yani shehr-e-Sadoom k rehny waly Loot a.s ki qom k log Loot a.s k yahaañ khub-soorat nojwanoñ k aany ki khabar sun kr ba-iraada-e-faasid o ba-niyyat e na-paak apni bd-masti meiñ) khushiaañ manaaty huwy (Loot a.s k pas) aa pohnchny¤
  68.  Loot (a.s) ny kaha: Beshak ye log Mery Mehmaan heñ (aur mehmaan ka ikraam laazim hota hy) pus tum (in ki bay-hurmti ka qassad kr k)  Mujhy (in k bary meiñ) sharram-saar na kro (k mehmaan ki ruswai maizbaan k liye sharmindagi ka sabbab hoti hy)¤
  69.  Aur Allah (k ghazzab) sy darro aur Mujhy ruswa na kro ¤
  70.  Wo (bd-mast log) boly: (Ay Loot a.s) Kia ham ny Tumheñ dunia bhr k logon (ki hmaet) sy manna naheeñ kia tha ¤
  71.  Loot (a.s) ny kaha: Ye Meri (qom ki) baitiaañ heñ agar tum kuchh krna chahty ho (to bjaey mardoñ sy bd-kaari k in sy nikaah kr lo) ¤ 
  72.  Ay Habib-e-Mukarram s.a.w.w Aap (s.a.w.w) ki Omr-e-Mubarak ki Qassam (Makhlooq-e-Elahi meiñ sy koi jan Baargah-e-Elahi meiñ Aap s.a.w.w ki Jan-e-Pak ki tarah izzat-o-hurmat naheeñ rakhti aur Allah Ta'aala ny Sarwar-e-Aalam s.a.w.w ki Omr-e-Mubarak k siwa kisi ki omr-o-hayaat ki qassam naheeñ farmai. Ye martba sirf Sarwar-e-Aalam s.a.w.w he ka hy. Ab is Qassam k bad irshaat hota hy ), beshak ye log (bhi qom-e-Loot ki tarrah) apni bd-masti meiñ sargardaañ phir rahy heñ ¤
  73.  Pus onheñ (yani qom-e-Loot ko) tuloo-e-aaftaab k sath he sakht aatsheeñ karhak (yani holnaak aawaaz) ny aa lia ¤ 
  74. So Ham ny on ki basti ko zair-o-zabbar kr dia (yani ollat dia, is tarah k Jibraeel a.s ny qom-e-Loot k shehr jis tabqa-e-zameen par thy os k neechy apna bazoo dala aur on 5 shehroñ ko jin meiñ sb sy barha Sadoom tha aur on meiñ 4 laakh aadmi basty thy, itna ooncha othaya k wahañ k kuttoñ aur murghoñ ki aawazeñ aasmaan par pohnchny laggeeñ aur is aahistagi sy othaya k kisi bartan ka pani na gira aur koi sony wala baidaar na huwa phir os bulandi sy os ko oundha kr k palta) aur Ham ny on par pathar ki tarrah sakht matti k kankar barsaey (Jis pathar sy jis shakhs ki halaakat manzoor the os ka naam os pathar par likha tha)¤
  75.  Beshak is (waqea) meiñ ehl-e-fraasat k liye nishaniaañ heñ¤
  76. Aur beshak (qom-e-Loot ki) wo basti (jo Azaab-e-Elahi ka shikaar hui) aik aabaad raasta par waqea hy (aur qaafly os par guzrty heñ aur Ghazzab-e-Elaahi k aasaar on k daikhny meiñ aaty heñ) 76¤
  77. Beshak is (waqea-e-qom-e-Loot) meiñ Ehl-e-Emaan k liye nishani (ibrat) hy¤ 
  78. Aur Beshak baashindgaan-e-Aekah (yani ghanni jharhiyoñ k rehny waly) bhi barhy zalim thy (in logoñ ka shehr sar-sabz jangloñ aur murgh-zaroñ k darmiaan tha. Allah Ta'aala ny Shoaib a.s ko in par Rasool bna kr bhaija. in logoñ ny na-farmani ki aur Shoaib a.s ko jhutlaya) ¤
  79.  Pus Ham ny in sy (bhi) intaqaam lia (yani azaab bhaij kr halaak kia), aur ye donoñ (yani qom-e-Loot a.s k shehr aur as'haab-e-Aekah ki bastiaañ) khully raasta par (mojood) heñ (jahañ log guzrty heñ aur daikhty heñ. To Ay Ehl-e-Makkah tum in ko daikh kr ibrat hasil q naheeñ krty) ¤
  80.  Aur beshak Wadi-e-Hijr k bashindoñ ny bhi Rasooloñ ko jhutlaya (Hijr aik wadi hy jo Madina aur Shaam k darmiaan the jis mein qom-e-Samood rehti the. Saleh a.s ko in ki taraf bhaija gea tha) ¤
  81.  Aur Ham ny onheñ (bhi) apni nishaniaañ deeñ (k pathar sy Naaqa paida kia jo bohut sy ajaeb par mushtamil tha maslan os ka azeem-ul-jussa hona aur kasrat sy doodh dena k tmaam qom-e-Samood ko kafi ho) magar wo on sy roo-gardaani krty rahy (aur Emaan na laey) ¤ 
  82. Aur wo log bay-khof o khattar pahaarhoñ meiñ ghr traashty thy (wo samajhty thy k ye ghr tabaah naheeñ ho skty. Aur on par koi aafat naheeñ aa skti) ¤
  83. To onheñ (bhi) subah krty he khofnaak karhak ny aa pakrha (aur wo azaab meiñ griftaar huwy) ¤
  84. So jo (maal) wo kmaya krty thy wo on sy (Allah k azaab) ko daffa na kr sakka ¤
  85.  Aur Ham ny aasmanoñ aur zameen ko aur jo kuchh in donoñ k darmiaan hy abs paida naheeñ kia, aur yaqinan Qiaamat ki gharhi aany wali hy so (Ay akhlaaq-e-Mujassam) Aap (s.a.w.w) barhy husn-o-khobi k sath darguzar krty reh'ye (aur apni qom ki eezaoñ par tahammul kreñ. Ye hukam Aayat-e-Qitaal sy mansookh ho gea) ¤
  86.  Beshak Aap (s.a.w.w) ka Rabb he sab ko paida farmany wala khoob jan'ny wala hy ¤ 
  87. Aur beshak Ham ny Aap (s.a.w.w) ko (Namaaz ki Rakaatoñ meiñ) baar baar duhrai jany wali 7 Aayateñ (yani Surah Fatiha) aur barhi azmat wala Quran ataa farmaya hy¤
  88.  Aap (s.a.w.w) on chezoñ ki taraf nigah otha kr bhi na daikhiye jin sy Ham ny Kafiroñ k grohoñ ko (chnd-roza) aish k liye behra-mand kia hy (Ay Sayyed-e-Aalam s.a.w.w Ham ny Aap ko aisi naimteñ ataa farmaeñ jin k samny duniyavi naimteñ haqeer heñ), aur on (ki gumrahi) par ranjida khatir bhi na hoñ (k wo Emaan na laey) aur Ehl-e-Emaan (ki dil-joe) k liye Apny (Shafqat-o-iltfaat k) Bazoo jhukaey rakhiye (aur onheñ Apny Rehmat k Parroñ meiñ ly lejiye aur Apny Karram sy nawaaziye)¤ 
  89. Aur farma dejiye k beshak (ab) Maiñ he (azaab-e-Elahi ka) wazeh-o-sreeh darr sunaany wala hooñ ¤ 
  90. Jaisa (azaab) k Ham ny taqseem krny waloñ (yani Yahood-o-Nasaara) par otaara tha ¤ 
  91. Jinhoñ ny Quran ko tukrhy tukrhy (kr k taqseem) kr dala (yani mawaafiq Aayatoñ ko maan lia aur ghair-mawaafiq ko na maana)¤
  92.  So Aap (s.a.w.w) k Rabb ki qasam! Ham on sab sy (baroz-e-Qeyaamat) zuroor purshash kreñ gy ¤
  93.  On aamaal sy mutalliq jo wo krty rahy thy ¤
  94.  Pus Aap (s.a.w.w) wo (bateñ) ailania keh daleñ jin ka Aap (s.a.w.w) ko hukam dia gea hy (is Aayat k nazool k waqt tak dawat-e-Islam ailaan k sath naheeñ ki jati the) aur Aap (s.a.w.w) Mushrikoñ sy mooñh phair lejiye (yani apna Deen zahir krny par Mushrikoñ ki malaamat krny ki parwah na kejiye aur on k istehza ka gham na kreñ) ¤ 
  95. Beshak mazaaq krny waloñ (ko anjaam tak pohnchaany) k liye Ham Aap (s.a.w.w) ko Kaafi heñ (Kuffaar-e-Quraish k 5 sardaar Huzoor s.a.w.w ko bohut eeza dety. Jibraeel (a.s) ny on ka sharr yoñ daffa kia k Waleed bin Mughayyara k teh-bnd me aik paikaan chubha, is sy os ki pindli zakhmi hui aur isi haal me marra. Aas bin Awael k paoñ me kaanta lagga aur paoñ me warram AA gea aur ye bhi halaak huwa. Aswad bin Mutlib ki aankhoñ me aisa Dard huwa k diwaar me sarr maarta tha isi haal me marr gea. Aswad bin Abd Yaqhos ko lo laggi aur is ka moonh is qaddar kala ho gea k ghr waloñ ny na pehchana aur nikaal dia aur isi haal me marr gea. Haris bin Qais k naak sy khoon aur peep jari huwa aur isi haal me waasil-e-Jahannam huwa)¤ 
  96. Jo Allah k sath dusra mabood bnaty heñ so wo anqreeb (apna anjaam) jaan leñ gy ¤
  97. Aur beshak Ham janty heñ k Aap (s.a.w.w) ka Seena ( e Aqdas) on batoñ sy tang hota hy jo wo kehty heñ ¤ 
  98. So Aap (s.a.w.w) Hamd k sath Apny Rabb ki tasbeeh kia kreñ aur Sajood krny waloñ mein (shamil) raha kreñ ¤
  99.  Aur Apny Rabb ki ibaadat krty rahaiñ yahaañ tak k Aap (s.a.w.w) ko (Aap s.a.w.w ki Shaan k laeq) Maqaam-e-Yaqeen mil jaey (yani inshraah-e-Kaamil naseeb ho jaey ya Lamha-e-Wisaal-e-Haq)¤

Surah AL-HIJR ka tarjuma 34 din (September 24 to October 27, 2012 ) meiñ mukammal huwa.
 SURAH AL-HIJR ki tafseel ye hy.
Surah AL-HIJR Makki Surah hy


Ruku : 6
Para  : 14 (Ruku 1 to 06)
Aayaat    :    99
Kalimaat :  654
Huroof    :  2760