SURAH MAR'YAM



Para 16
 Surah 19
SURAH MAR'YAM
ALLAH K NAAM SY SHUROO JO BOHUT MEHRBAN NEHAYAT REHEM FARMANY WALA HY
1.                   KAAAF HAA YAA AAEEN SWAAAD (haqiqi maa'ni Allah aur Rasool s.a.w.w he behtar janty heñ)¤
2.                   (Ye) Aap (s.a.w.w) k Rabb ki Rehmat ka Zikr hy (jo Os ny) Apny (Barguzeedy) Bndy Zakariyya (a.s) par (farmai the)¤
3.                   Jab Onhoñ ny Apny Rabb ko (addab bharri) dabbi aawaaz sy pukara (q k ikhfa, reyaa sy door aur ikhlaas sy ma'moor hota hy. Neez ye bhi faeda tha k 75 ya 80 saal ki umar meiñ olaad ka tallab krna ehtmaal rakhta tha k awaam is par mlaamat kreñ is liye bhi is Duaa ka ikhfa munasab tha ya phir zaeef umri k baes Hazrat Zakariyya a.s ki aawaaz bhi zaeef ho gai the)¤
4.                   (Zakariyya a.s ny) arz kia: Ay Mery Rabb! Mery jism ki haddiyañ kmzor ho gai heñ (haddi jo nehaayat mazboot uzv hy os meiñ kmzori aa gai to baqi aa'za ka haal muhtaj-e-beyaan he naheeñ) aur  bhurhapy k baes sar aag k sho'la ki manind sufaid ho gea hy aur Ay Mery Rabb: Maiñ Tujh sy maang kr kabhi mehroom naheeñ raha (hamesha Tu ny Meri Duaa qbool farmai)¤
5.                   Aur Maiñ Apny (rukhsat ho jany k) bad (bay-Deen) rishta-daroñ (chacha-zaad waghaira) sy darta hooñ (k wo Deen ki Naimat zaya na kr baitheñ q k wo shreer log heñ) aur Meri Bivi (bhi) bhaanj hy so Tu Mujhy Apni (khaas) Bargaah sy aik waaris (Farzand) ataa farma¤
6.                   Jo (Aasmani Naimat meiñ) Mera (bhi) waaris banny aur Ya'qoob (a.s) ki olaad (k silsila-e-Nabuwwat) ka (bhi) waaris ho aur Ay Mery Rabb! Tu (bhi) Osy Apni Raza ka haamil bna ly¤
7.                   (Zakariyya a.s ki Duaa qbool hui aur Irshad huwa) Ay Zakariyya (a.s)! Beshak Ham Tumheñ aik Larh'ky ki khush-khabri sunaty heñ Jis ka Naam Yah'ya (a.s) ho ga Ham ny is sy pehly os ka koi ham-naam naheeñ bnaya¤
8.                   (Zakariyya a.s ny) arz Kia: Ay Mery Rabb! Mery haañ larh'ka kaisy ho sakta hy dar'aañ'haaliky Meri Bivi bhaañj hy aur Maiñ khud bhurhapy k baes (intahai zof meiñ) sookh jany ki haalat ko pohnch gea hooñ (ye swaal istab'aad naheeñ balky maqsood ye dar'yaft krna hy k ataa-e-Farzand kis treeqa par ho ga kia dobara jawani mar'hamat ho gi ya isi haal meiñ Farzand ataa kia jaey ga)¤
9.                   Farmaya (ta'ajjub na kro) aisy he ho ga, Tumhary Rabb ny farmaya hy ye (Larh'ka paida krna) Mujh par aasaan hy aur beshak Maiñ is sy pehly Tumheñ (bhi) paida kr chuka hooñ is haalat sy k Tum (siry sy) koi cheez he na thy¤
10.               (Zakariyya a.s ny) arz kia: Ay Mery Rabb! Mery liye koi nishani muqarrar farma (jis sy Mujhy Apni Bibi k haamla hony ki maarfat ho), irshad huwa Tumhari nishani ye hy k Tum bilkul tandrust hoty huwy bhi 3 raat (din) logoñ sy kalaam na kr sakko gy (Chunachy aisa he huwa k on ayyaam meiñ Aap logoñ sy kalaam krny par qaadir na huwy. Jab Allah ka zikr krna chahty zuban khul jati)¤
11.               Phir (Zakariyya a.s) Hujra-e-Ibadat sy nikkal kr Apny logoñ k paas aey (Aap ka rang bdla huwa tha, guftgoo naheeñ farma sakty thy ye haal daikh kr logoñ ny dar'yaaft kia, kia haal hy) to (Aap ny) on ki tarraf ishara kia (aur samjhaya) k tum subah-o-shaam (Allah ki) Tasbeeh kia kro (aur hasb-e-aadat Fajr-o-Asr ki Namazaiñ ada krty raho. Zakariyya a.s ny Apny Kalaam na kr sakny sy jan lia k Bivi Sahiba Haamla ho gaeñ)¤
12.               (Yah'ya a.s ki Wiladat sy 2 saal baad Allah ny farmaya) Ay Yah'ya (a.s)! (Hmari) Kitab (Toraat) ko mazbooti sy thamy rakho aur Ham ny Onheñ bachpan he sy Hikmat-o-Baseerat (Nabuwwat) ataa farma di the (3 saal ki Umar Shareef meiñ Aap ko aqqal-e-kaamil ataa farmai aur Aap ki tarraf Wahi ki)¤
13.               Aur Apny Lutf-e-Khaas sy (Onheñ) Dard-o-Gudaaz aur Pakeezgi-o-Tahaarat (sy bhi nawaza tha. On k dil meiñ Riqqat-o-Rehmat rakhi), aur Wo barhy Par'haizgaar thy (khof-e-Elahi sy bohut gir'ya-o-zaari krty thy yahañ tak k Aap k Rukhsaar Mubarak par aanso'oñ sy nishaan bn gaey)¤
14.               Aur Apny Maañ Baap k sath barhi naiki (aur khidmat) sy paish aany waly (thy) aur (aam larh'koñ ki tarrah) har giz sarkash-o-nafarmaan na thy¤
15.               Aur Yah'ya (a.s) par Salam ho On k Milad k Din aur On ki Wafaat k Din aur Jis Din Wo zinda othaey jaeñ gy (ye Teenoñ Din bohut andesha-naak heñ q k in meiñ aadmi wo daikhta hy jo is sy pehly os ny naheeñ daikha. Is liye in Teenoñ moqoñ par nehaayat wehshat hoti hy. Allah Ta'aala ny Yah'ya a.s ka ikraam farmaya k Onheñ in Teenoñ moqoñ par amman-o-salamti ataa ki)¤
16.               Aur (Ay Habib-e-Mukarram s.a.w.w) Aap (s.a.w.w) Kitab (Quran Majeed) meiñ Mar'yam (a.s) ka zikr keejiye (Mar'yam a.s ka waqea parh kr in logoñ ko sunaeye ta k inheñ On ka haal maaloom ho), jab Wo Apny ghr waloñ sy alag ho kr (ibadat k liye khilwat ikhteyaar krty huwy) mashriqi mkaan meiñ aa gaeñ¤
17.               Pus Onhoñ ny on (ghr waloñ aur logoñ) ki tarraf sy hijaab ikhteyaar kr lia (ta k Husn-e-Mutliq Apna hijaab otha dy) to Ham ny On ki tarraf Apni Rooh (yani Frishta Jibraeel a.s) ko bhaija so (Jibraeel a.s) On k saamny mukammal Bashri soorat meiñ zaahir huwa¤
18.               (Mar'yam a.s ny) kaha: Beshak Maiñ Tujh sy (Khuda-e) Rehman ki pnaah maangti hooñ agar Tu (Allah sy) drny wala hy¤
19.               (Jibraeel a.s ny) kaha: Maiñ to faqqat Tery Rabb ka bhaija huwa hooñ, (is liye aaya hooñ) k Maiñ Tujhy aik Pakeeza Baita ataa kroñ¤
20.               (Jibraeel a.s sy Baity ki khush-khabri sun kr Mar'yam a.s ny) kaha: Mery haañ larh'ka kaisy ho sakta hy jab k Mujhy kisi insan ny chhuwa tak naheeñ aur na he Maiñ bd-kaar hooñ¤
21.               (Jibraeel a.s ny) kaha: (Ta'ajjub na kr) aisy he ho ga (yehi manzoor-e-Elahi hy k Tumheñ baghair mard k chhooey he Larh'ka enayat farmaey), Tery Rabb ny farmaya hy: Ye (kaam yani baghair bap k Baita daina) Mujh par aasaan hy, aur (ye is liye ho ga) ta k Ham isy logoñ k liye nishani (yani Apni Qudrat ki Bur'haan) aur Apni janib sy (on k liye) Rehmat bna deñ (jo Os k Deen ka ittaba' kreñ), aur ye amr (pehly sy) ty-shuda hy (ab na radd ho sakta hy na baddal sakta hy)¤
22.               (Mar'yam a.s ko Jibraeel a.s ki guftgoo sy itminaan ho gea aur On ki praishani jati rahi to Jibraeel a.s ny Onheñ Dm kia to Wo ba-qudrat-e-Elahi haamla ho gaeñ. Os waqt Aap ki Umar 13 saal ya 10 saal ki the) Pus Mar'yam (a.s) ny Osy pait meiñ ly lia aur (aabadi sy) alag ho kr door aik mqaam (Bait-ul-Laham) par ja bhaitheeñ (Mar'yam a.s k Hammal ka ilm sb sy pehly On k chacha-zaad bhai Yousuf ko huwa jo Bait-ul-Muqaddas ka khaadim tha. Os ny kaha: Ay Mar'yam kia bacha baghair baap k paida ho sakta hy. Mar'yam a.s ny farmaya k kia tujhy maaloom naheeñ k Allah ny Aadam a.s aur Hawwa a.s ko baghair maañ baap k paida kia)¤
23.               Phir Dard-e-Zeh Onheñ aik khajoor k tanny ki tarraf ly aaya, wo (praishani k aalam meiñ) kehny laggeeñ: Ay kaash! Maiñ pehly sy marr gai hoti aur bilkul bhooli bsri ho chuki hoti¤
24.               (Mar'yam a.s ko Dard-e-Zeh khajoor k tanny ki tarraf ly aaya) Phir On k neechy ki janib sy (Jibraeel a.s ny ya khud Eesa a.s ny) Onheñ aawaaz di k Tu ranjeeda na ho beshak Tumhary Rabb ny Tumhary neechy aik chashma jari kr dia hy (ya Tumhary neechy aik Azeem-ul-Martba insaan ko paida kr k lita dia hy)¤
25.               Aur khajoor k tanny ko Apni tarraf hilao wo tum par taza pakki hui khajooraiñ gira dy ga¤
26.               So tum khao aur pio aur (Apny Haseen-o-Jameel Farzand ko daikh kr) aankheñ thandi kro, phir agar tum kisi bhi insaan ko daikho (k Tum sy Bachy ko dar'yaaft krta hy) to (ishary sy) keh daina k Maiñ ny (Khuda-e) Rehman k liye (khamoshi k) Roza ki nazar mani hui hy so Maiñ aaj kisi insaan sy qat'an guftgoo naheeñ kroñ gi (ye Hukam is liye dia gea ta k kalaam Eesa a.s khud farmaeñ jis sy tuhmat zael ho jaey)¤
27.               (Mar'yam a.s k haañ Bachy ki paidaesh hui) Phir Wo Os (Bachy) ko (god meiñ) uthaey huwy Apni qom k paas aa gaeñ (jab logoñ ny Mar'yam a.s ko daikha k On ki god meiñ Bacha hy to) wo kehny laggy:Ay Mar'yam (a.s)! Yaqinan Tu bohut he ajeeb cheez lai hy¤
28.               Ay Haroon ki Behen! (Haroon ya to Mar'yam a.s k bhai ka naam tha ya Hazrat Haroon a.s brother Moosa a.s he ki tarraf nisbat the. Chooñky Ye On ki nassal sy then is liye Haroon ki Behen keh dia) Na Tera Baap (Imran) bura aadmi tha aur na he Teri Maañ (Hanna)  bd-challan the¤
29.               To Mar'yam (a.s) ny Os (Bachy) ki tarraf ishara kia (k jo kuchh kehna hy khud Os Bachy sy kaho, Is par qom k logoñ ko ghussa aaya aur) wo kehny laggy: Ham is sy kis tarrah bat kreñ jo (abhi) gehwara meiñ Bacha hy?¤
30.               (Mar'yam a.s aur On ki qom ki guftgoo sun kr Bacha khud) bol parha: Beshak Maiñ Allah ka Bnda hooñ (Walidah ki bra'at sy pehly is tuhmat ko raffa' farmaya jo Allah k Janab-e-Pak meiñ lagai jany wali the k Eesa a.s Khuda ya Khuda k Baity heñ) Os ny Mujhy Kitab  (Injeel) ataa farmai hy aur Mujhy Nabi bnaya hy¤
31.               Aur Maiñ jahañ kaheeñ bhi rahooñ Os ny Mujhy srapa Barkat bnaya hy aur Maiñ jab tak (bhi) zinda hooñ Os ny Mujhy Namaz aur Zakaat ka Hukam farmaya hy¤
32.               Aur Apni Walidah (Mar'yam a.s) k sath naik salook krny wala (bnaya hy) aur Os ny Mujhy sarkash-o-bd-bakht naheeñ bnaya¤
33.               Aur (Yah'ya a.s ki tarrah) Mujh par Salam ho Mery Milad k Din, aur Meri Wafaat k Din, aur Jis Din Maiñ zinda uthaya jaoñ ga¤
34.               Ye Mar'yam (a.s) k Baity Eesa (a.s) heñ, (yehi) sachi bat hy jis meiñ ye log shakk krty heñ¤
35.               Ye Allah ki Shan naheeñ k Wo (kisi ko Apna) Baita bnaey, Wo (is sy) Pak hy. Jab Wo kisi kaam ka faisla farmata hy to usy sirf yehi Hukam daita hy "HO JA" Pus wo ho jata hy¤
36.               (Eesa a.s ny kaha) Aur beshak Allah Mera (bhi) Rabb hy aur tumhara (bhi) Rabb hy (aur Us k siwa koi Rabb naheeñ) so tum Usi ki ibadat kia kro, yehi seedha rasta hy¤
37.               Phir on k firqy aapas meiñ ikhtlaaf krny laggy (Eesa a.s k baab meiñ Nasara k kai firqy ho gaey, Yaqoobia firqa kehta tha k Wo Khuda hy, Zameen par uttar aaya tha, phir aasman par charh gea. Nastooria firqa ka qol hy Wo Khuda ka Baita hy, jab tak chaha Usy zameen par rakha phir utha lia. Malkania firqa ye kehta tha k Wo Allah k Bndy heñ, makhlooq heñ, Nabi heñ. Ye firqa Mo'min tha), pus Kaafiroñ k liye (Qeyaamat k) Barhy Din ki haazri sy tabahi hy¤
38.               Jis Din wo (yani Eesa a.s ko ma'bood thehrany waly Mushrik) Hmary paas haazir hoñ gy to kaisy (kaan khol kr) sunnaiñ gy aur (aankheñ phaarh phaarh kr) daikheñ gy (aur os Din ka daikhna aur sun'na kuchh naffa' na dy ga jab onhoñ ny dunia meiñ dlael-e-Haq ko naheeñ daikha aur Allah k mwaeed ko naheeñ suna. Os roz aisi hol-naak bataiñ sunnaiñ aur daikheñ gy jin sy dil phatt jaeñ gy) laikin zaalim log aaj khulli gumrahi meiñ (gharq) heñ (haq daikhty heñ na haq sunty heñ)¤
39.               Aur Aap (s.a.w.w) onheñ hasrat (o-nidamat) k Din sy draeye jab (har) bat ka faisla kr dia jaey ga, magar wo ghaflat (ki haalat) meiñ parhy heñ aur Emaan laty he naheeñ¤
40.               Beshak Ham he zameen k (bhi) Waaris heñ aur on k (bhi) jo is par (rehty) heñ (sb fna ho jaeñ gy Ham he baqi rahaiñ gy) aur (sb) Hmari he tarraf lotaey jaeñ gy¤
41.               Aur Aap (s.a.w.w) Kitab (Quran Majeed) meiñ Ibrahim (a.s) ka zikr keejiye, beshak Wo Barhy Sahib-e-Sidq Nabi thy¤
42.               Jab Onhoñ ny Apny baap (yani chacha Aazar sy jis ny Aap a.s k Walid Taarakh k intqaal k bad Aap a.s ko pala tha) sy kaha: Ay Mery baap! Tum in (buttoñ) ki purastish q krty ho jo na sun sakty heñ aur na daikh sakty heñ aur na tum sy koi (takleef-deh) cheez door kr sakty heñ¤
43.               Ay abba! Beshak Mery paas (Bargah-e-Elahi sy) wo ilm aa chuka hy jo tumhary paas naheeñ aaya. Tum Meri pairvi kro Maiñ tumheñ seedhi raah dikhaoñ ga¤
44.               Ay abba! Shetan ki purastish (aur farmañ-bardari) na kia kro, beshak Shetan (Khuda-e) Rehman ka barha he na-farman hy¤
45.               Ay abba! Beshak Maiñ is bat sy darta hooñ k tumheñ (Khuda-e) Rehman ka azaab pohnchy aur tum Shetan k sathi bn jao¤
46.               (Aazar ny Ibrahim a.s ki naseehat k jawaab meiñ) kaha: Ay Ibrahim (a.s)! Kia Tum mery ma'boodoñ sy roo-gardaañ ho? Agar waqea e Tum (is mukhaalfat sy) baaz na aey to maiñ Tumheñ zaroor sang-saar kr dooñ ga aur aik taweel arsa k liye Tum mujh sy alag ho jao (ta k mery hath aur zubaan sy amman meiñ raho)¤
47.               (Ibrahim a.s ny) kaha (achha) tumheñ salam (ye salam-e-mtaarkat tha), Maiñ ab (bhi) Apny Rabb sy tumhary liye bakh'shish maangooñ ga (k tujhy tofeeq-e-Tobah-o-Emaan dy kr teri maghfirat kry), beshak Wo Mujh par bohut Mehrban hy (shaed tumheñ Hadaayat ataa farma dy)¤
48.               Aur Maiñ tum (sb) sy aur on (buttoñ) sy jinheñ tum Allah k siwa poojty ho kinara-kash hota hooñ aur Apny Rabb ki ibadat meiñ (yak-soo ho kr) masroof hota hooñ, umeed hy Maiñ Apny Rabb ki ibadat k baes mehroom (e-Karram) na rahooñ ga¤
49.               Phir jab Ibrahim (a.s) on logoñ sy aur on (buttoñ) sy jin ki wo Allah k siwa purastish krty thy (mail-milaap chhorh kr Arz-e-Muqaddisa ki tarraf Hijrat kr k) bilkul juda ho gaey (to) Ham ny Onheñ Is'haq (a.s) aur Yaqoob (a.s, yani Baity aur Poty) sy nawaza, aur Ham ny har (2) ko Nabi bnaya¤
50.               Aur Ham ny On (sb) ko Apni (Khaas) Rehmat bakh'shi (k amwaal-o-olaad bakasrat ataa kiye) aur Ham ny On k liye (har aasmani maz'hab k maan'ny walon mein) ta'reef-o-staesh ki zubaan buland kr di (k har Deen waly, Musalman hoñ khwaa Yahoodi khwaa Nasrani, sb On ki Sana krty hen aur Namazoñ meiñ On par aur On ki Aal par Drood parha jata hy)¤
51.               Aur (is) kitab meiñ Moosa (a.s) ka zikr keejiye beshak Wo (nafs ki grift sy khulasi pa kr) bar-guzeeda ho chuky thy aur Saahib-e-Risaalat Nabi thy¤
52.               Aur Ham ny Onheñ (Koh-e) Toor ki dahni janib sy nida di (Toor Misr-o-Mad'yan k darmeyaan hy. Moosa a.s ko Mad'yan aaty huwy Toor ki os janib sy jo Moosa a.s ki dahni janib the, aik drakht sy nida di gai Ay Moosa Maiñ he Allah hooñ tmam jahanoñ ka paalny wala) aur raaz-o-niaaz ki baateñ krny k liye Ham ny Onheñ Qurbat (e-Khaas sy nawaza (aur On sy Kalaam farmaya)¤
53.               Aur Ham ny Apni Rehmat sy On k (barhy) Bhai Haroon (a.s) ko Nabi bna kr Onheñ bakh'sha (ta k Wo On k kaam meiñ muaavan hoñ. Moosa a.s ny Duaa ki k Ya Rabb Mery ghr waloñ meiñ sy Mery Bhai Haroon a.s ko Mera Wazeer bna. Ye Duaa qabool hui aur Haroon a.s ko Moosa a.s ki Duaa sy Nabi kia)¤
54.               Aur Aap (s.a.w.w is) Kitab meiñ Ismaeel (a.s) ka zikr kreñ (Jo Ibrahim a.s k Farzand aur Sayyad-e-Aalam s.a.w.w k Jadd heñ) beshak Wo wa'da k sachy thy (Añmbia sb he Sachy hoty heñ laikin Aap is wasf meiñ khaas shuhrat rakhty heñ. Aik martba kisi maqaam par Aap sy koi shakhs keh gea tha k Aap yeheeñ thehry reh'ye jab take maiñ wapas aaoñ, Aap us jagga us k intzaar mein 3 roz thehry rahy. Aap ny sabr ka wa'da kia tha, zibbah k waqt us shaan sy ye wa'da wafa kia k Subhan Allah) aur Saahib-e-Risaalat Nabi thy¤
55.               Aur Wo Apny ghr waloñ ko (aur Apni qom Jur'ham ko jin ki tarraf Aap mab'oos thy) Namaz aur Zakaat ka hukam daity thy aur Wo Apny Rabb k hazoor Maqaam-e-Marziyya par (faez) thy (yani On ka Rabb basabbab On k ta'at-o-aa'maal-o-sabr-o-istaqlal-o-ahwaal-o-khasaal k On sy razi tha)¤
56.               Aur (is) Kitab meiñ Idrees (a.s) ka zikr keejiye (Aap ka naam Akhnookh-bin-Shees-bin-Aadam a.s hy. Aap Nooh a.s k Walid k Dada heñ. Aadam a.s k bad Aap he pehly Rasool heñ. Kap'rhoñ k seeny aur silly huwy kap'rhy pehn'ny ki ibtda Aap he sy hui. Sb sy pehly qallam sy likhny waly, hath'yaar bnany waly, trazoo qaem krny waly aur ilm-e-najoom-o -hisaab meiñ nazzar farmany waly bhi Aap he heñ. Allah ny Aap par 30 Saheefy naazal kiye aur Kutab-e-Elahia ki kasrat-e-dars k baes Aap ka naam Idrees huwa) beshak Wo barhy Saahib-e-Sidq Nabi thy¤
57.               Aur Ham ny Onheñ buland maqaam par utha lia tha (Aap ny Izraeel a.s sy farmaya k Meri Rooh qabz kro. Onhoñ ny Rooh qabz kr k osi waqt Aap ki tarraf lota di. Phir Aap k hukam par Aap ko Jahannam par sy guzarny k bad Jannat meiñ dakhil kia, jahañ  Aap zinda heñ)¤
58.               Ye wo log heñ jin par Allah ny in'aam farmaya hy zumra-e-Añmbia meiñ sy Aadam (a.s) ki olaad sy heñ (yani Idrees a.s aur Nooh a.s) aur on Mo'minoñ meiñ sy heñ jinheñ Ham ny Nooh (a.s) k sath kashti meiñ (tofaan sy bcha kr) utha lia tha (yani Ibrahim a.s, Nooh a.s k poty aur Aap k farzand), aur Ibrahim (a.s) ki (olaad sy Ismaeel a.s, Is'haaq a.s aur Ya'qoob a.s) aur Israeel (yani Yaqoob a.s) ki olaad sy (Moosa a.s, Yah'ya a.s aur Eesa a.s) heñ aur on (muntakhib) logoñ meiñ sy heñ jinheñ Ham ny Hadaayat bakh'shi aur barguzeeda bnaya, jab on par (Khuda-e) Rehman ki Aayatoñ ki tilawat ki jati hy wo Sajdah krty huwy aur (zaar-o-qitaar) roty huwy gir parhty heñ¤ {AAYAT-E-SAJDAH}
59.               Phir On (Mo'minoñ) k bad wo na-khalf jaanasheen huwy (misl Yahood-o-Nasaara k) jinhoñ ny Namazeñ zaya kr deeñ aur khwaheshaat (e-nafsani) k pairo ho gaey to unqreeb wo Aakhirat k azaab (Dozakh ki wadi-e-Ghee) sy do-chaar hoñ gy¤
60.               Siwaey os shakhs k jis ny Tobah kr li aur Emaan ly aaya aur naik ammal krta raha to ye log Jannat meiñ daakhil hoñ gy aur on par kuchh bhi zulm naheeñ kia jaey ga¤
61.               Aisy sada-bahaar baghaat meiñ (rahaiñ gy) jin ka (Khuda-e) Rehman ny Apny bndoñ sy ghaib meiñ wa'da kia hy, beshak Os ka wa'da pohnchny he wala hy¤
62.               Wo os meiñ koi bay-hooda bat naheeñ sunneñ gy magar (har tarraf sy) Salaam (sunai dy ga), on k liye on ka rizq os meiñ subah-o-shaam (mu'yassar) ho ga¤
63.               Ye wo Jannat hy jis ka Ham Apny bndoñ meiñ sy osy waaris bnaeñ gy jo muttaqi ho ga¤
64.               Aur (Jibraeel a.s Mery Habib s.a.w.w sy kaho k) Ham Aap k Rabb k hukam k baghair (zameen par) naheeñ uttar sakty (Aap s.a.w.w ny Jibraeel a.s sy farmaya: Tum jitna Hmary paas aaya krty ho is sy zeyaada q naheeñ aaty, is par ye Aayat naazal hui) jo kuchh hmary aagy hy aur jo kuchh hmary peechhy hy aur jo kuchh is k dar'meyaan hy (sb) Usi ka hy (Wohi Maalik hy, ham aik mkaan sy dusry mkaan ki tarraf harkat krny meiñ Us k Hukam k taby' heñ), aur Aap ka Rabb (Aap ko) kabhi bhi bhoolny wala naheeñ hy¤
65.               (Wo) aasmanoñ aur zameen ka aur jo kuchh in 2 k dar'meyaan hy (sb) ka Rabb hy pus Us ki ibaadat keejiye aur Us ki ibaadat meiñ saabit-qaddam reh'ye, kia Aap Us ka koi ham-naam janty heñ (kisi ko Us k sath ISMI shirkat bhi naheeñ. Mushrikeen ny bhi apny kisi ma'bood-e-baatil ka naam Allah naheeñ rakha)¤
66.               Aur insaan kehta hy: Kia jab maiñ marr jaoñ ga to unqreeb zinda kr k nikaala jaoñ ga (insaan sy yahañ muraad wo Kuffaar heñ jo mot k bad zinda kiye jany k munkar heñ)¤
67.               Kia insaan ye bat yaad naheeñ krta k Ham ny is sy pehly (bhi) osy paida kia tha jab k wo koi cheez he na tha (to Jis ny ma'doom ko mojood farmaya Us ki Qudrat sy murda ko zinda kr daina kia ta'ajjub)¤
68.               Pus Aap k Rabb ki Qassam Ham on (munkareen-e-Ba'as) ko aur (jumla) Shetanoñ ko (Qeyaamat k Din) zaroor jamma kreñ gy phir Ham on (sb) ko Jahannam k gird zaroor haazir kr deñ gy is tarrah k wo ghutnoñ k bal giry parhy hoñ gy¤
69.               Phir Ham (Kuffaar k) har groh sy aisy shakhs ko zaroor chun kr nikaal leñ gy jo on meiñ sy (Khuda-e) Rehman par sb sy zeyaada na-farman-o-sarkash ho ga¤
70.               Phir Ham on logoñ ko khoob janty heñ jo Dozakh meiñ jhoñky jany k zeyaada saza-waar heñ¤
71.               Aur tum meiñ sy koi shakhs naheeñ hy magar os ka os (Dozakh) par sy guzr hony wala hy (naik ho ya badd os ka guzr Dozakh par zaroor ho ga. Naik salaamat rahaiñ gy. Aur jab on ka guzr Dozakh par ho ga to Dozakh sy sada uthy gi k ay Mo'min guzr ja k tery Noor ny meri lippat sard kr di. Dozakh par guzrny sy Pull-Siraat par guzrna muraad hy jo Dozakh par hy) ye (wa'da) qattai tor par Aap k Rabb k zimma hy jo zaroor poora ho kr rahy ga¤
72.               Phir Ham par'haizgaaroñ ko nijaat deñ gy aur zalimoñ ko os (Dozakh) meiñ ghutnoñ k bal gira huwa chhorh deñ gy¤
73.               Aur jab on par Hmari Roshan Aayateñ Tilaawat ki jati heñ to Kaafir log Emaan waloñ sy kehty heñ: (isi dunia meiñ daikh lo ham) donoñ grohoñ meiñ sy kis ki rehaesh-gaah behtar aur majlis khoob-tarr hy (Kuffaar Qurani Aayaat aur braheen meiñ fikr krny ki bjaey dolat par fakhr krty heñ)¤
74.               Aur Ham ny in sy pehly kitni he qomoñ ko halaak kr dala jo saaz-o-samaan-e-zindgi aur namood-o-numaesh k lehaaz sy (in sy bhi) kaheeñ behtar thy¤
75.               Farma deejiye: Jo shakhs gumrahi meiñ mubtla ho to (Khuda-e) Rehman (bhi) usy umr-o-aish meiñ khoob muhlat daita rehta hy, yahañ tak k jab wo log os cheez ko daikh leñ gy jis ka on sy wa'da kia gea hy khwaa azaab (e-dunia) aur khwaa Qeyaamat, tabb wo us shakhs ko jan leñ gy jo rehaesh-gaah k aitbaar sy (bhi) bura hy aur lashkar k aitbaar sy (bhi) kmzor-tarr hy¤
76.               Aur Allah Hadaayat-Yaafta logoñ ki Hadaayat meiñ (istaqaamat ataa farma kr aur baseerat-o-tofeeq dy kr) mazeed izaafa farmata hy,aur baqi rehny waly Naik Aa'maal (yani Namazeñ, Allah ki Tasbeeh-o-tahmeed aur Us ka zikr aur tamaam Aa'maal-e-Saleha) Aap k Rabb k nazdeek ajr-o-sawaab meiñ (bhi) behtar heñ aur injaam meiñ (bhi) khoob-tarr heñ¤
77.               Kia Aap ny us shakhs ko daikha hy jis ny Hmari Aayatoñ sy Kufr kia aur kehny lagga: Mujhy (Qeyaamat k Roz bhi isi tarrah) maal-o-olaad zaroor diye jaeñ gy (Khabbaab R.A ny Aas-bin-Wael sy apny qarz ka taqaaza kia to us ny kaha: Aap Kufr ikhteyaar kreñ tabb qarz adaa kroñ ga. Aap ny kaha: Aisa naheeñ ho sakta yahañ tak k tu marry aur mrny k bad zinda ho kr uthy. Wo bola k jab maiñ mrny k bad zinda kia jaoñ aur mujhy maal-o-olaad milly tabb he qarz adaa kroñ ga)¤
78.               Wo ghaib par muttaly hy ya us ny (Khuda-e) Rehman sy (koi) aihed ly rakha hy?¤
79.               Har giz naheeñ, ab Ham wo sb kuchh likhty rahaiñ gy jo wo kehta hy aur us k liye azaab (par azaab) khoob barhaaty chally jaeñ gy¤
80.               Aur (mrny k bad) jo ye keh raha hy us k Ham he Waaris hoñ gy aur wo Hmary paas tanha aey ga (us k maal-o-olaad sath na hoñ gy)¤
81.               Aur onhoñ ny Allah k siwa (kai aur) ma'bood bna liye heñ (yani Mushrikoñ ny buttoñ ko is umeed par ma'bood bna lia) ta k wo on k liye baes-e-izzat hoñ (aur on ki maddad kreñ aur onheñ azaab sy bchaeñ)¤
82.               Har giz (aisa) naheeñ hy, unqreeb wo (ma'boodaan-e-baatila jinheñ Mushrikeen poojty thy khud) on ki purastish ka inkaar kr deñ gy (onheñ jhutlaeñ gy aur on par la'nat kreñ gy) aur on k dushman ho jaeñ gy (Allah onheñ zubaan dy ga aur wo kahaiñ gy Ya Rabb in Mushrikoñ ko azaab kr)¤
83.               Kia Aap ny naheeñ daikha k Ham ny Shetanoñ ko Kaafiroñ par (musallat kr k) bhaija hy wo onheñ har waqt (Islam ki mukhaalifat par) uksaty rehty heñ¤
84.               So Aap on par (azaab k liye) jaldi na kreñ Ham to khud he on k (injaam k) liye din shumaar krty rehty heñ¤
85.               Jis din Ham par'haizgaaroñ ko jamma kr k (Khuda-e) Rehman k hazoor (mu'azzaz mehmanoñ ki tarrah) sawaariyoñ par ly  jaeñ gy (Mo'mineen hashr meiñ apni qabroñ sy sawaar kr  k uthaey jaeñ gy aur on ki sawaariyoñ par tlai zaineñ aur paalaan hoñ gy)¤
86.               Aur Ham mujrimoñ ko (zillat-o-ahaanat k sath) Jahannam ki tarraf peyaasa haañk kr ly jaeñ gy¤
87.               (Us din) log shafa'at k maalik na hoñ gy siwaey on k jinhoñ ny (Khuda-e) Rehman sy wa'da (e-shafa'at) ly lia hy (yani jinheñ shafa'at ka izn mil chuka hy wohi shafa'at kreñ gy ya ye maana heñ k shafa'at sirf Mo'mineen ki ho gi)¤
88.               Aur (Kaafir) kehty heñ k (Khuda-e) Rehman ny (Apny liye) larh'ka bna lia hy¤
89.               (Ay Kaafiro!) Beshak tum bohut he sakht aur ajeeb bat (zubaan par) laey ho¤
90.               Kuchh baeed naheeñ k is (buhtaan) sy aasmaan phatt parheñ aur zameen shaqq ho jaey aur pahaarh raiza raiza ho jaeñ (yani ye kalma aisi bay-adbi-o-gustakhi ka hy k agar Allah ghazzab farmaey to is par tamaam jahaan ka nizaam dar'ham bar'ham  kr dy. Kuffaar ny jab ye gustakhi ki aur aisa bay-bakaana kalma mooñh sy nikaala to jin-o-ins k siwa aasmaan, zameen, pahaarh waghaira tamaam khalq preshani sy bay-chain ho gai aur qreeb-e-halaakat pohnch gai, Malaeka ko ghazzab huwa aur Jahannam ko josh aaya)¤
91.               K onhoñ ny (Khuda-e) Rehman k liye larh'ky ka da'wa kia hy¤
92.               Aur (Khuda-e) Rehman k Shayaan-e-Shaan naheeñ hy k Wo (kisi ko Apna) larh'ka bnaey¤
93.               Aasmanoñ aur zameen meiñ jo koi bhi (aabaad) heñ (khwaa Frishty heñ ya jin-o-ins) wo Allah k hazoor mehez bnda k tor par haazir hony waly heñ (bnda hona aur olaad hona jamma ho he naheeñ sakta, olaad mamlook naheeñ hoti to jo mamlook hy har giz olaad naheeñ)¤
94.               Beshak Us (Allah) ny onheñ Apny (ilm k) ahaata meiñ ly lia hy aur onheñ (aik aik kr k) poori tarrah shumaar kr rakha hy (sb Us k ilm meiñ mehsoor heñ aur har aik k anfaas, ayyaam, aasaar aur tamaam ahwaal aur jumla umoor Us k shumaar meiñ heñ aur Us par kuchh makhfi naheeñ)¤
95.               Aur on meiñ sy har aik Qeyaamat k Din Us k hazoor (baghair maal-o-olaad aur mueen-o-naasir k) tanha aany wala hy¤
96.               Beshak jo log Emaan laey aur naik ammal kiye to (Khuda-e) Rehman on k liye (logoñ k) dilloñ meiñ muhabbat paida farma dy ga (jab Allah kisi bndy ko mehboob krta hy to Jibraeel a.s sy farmata hy k falaañ Mera mehboob hy Jibraeel a.s us sy muhabbat krny lagty heñ. Jibraeel a.s aasmanoñ meiñ nida krty heñ k Allah falaañ ko mehboob rakhta hy, sb us ko mehboob rakhaiñ to aasmaan waly us ko mehboob rakhty heñ phir zameen meiñ us ki maqbooliat aam kr di jati hy)¤
97.               So beshak Ham ny is (Quran) ko Aap ki zubaan meiñ he aasaan kr dia hy ta k Aap (s.a.w.w) is k zarriye par'haizgaaroñ ko khush-khabri suna sakkaiñ aur is k zarriye jhag'rhaloo qom ko darr suna sakkaiñ¤
98.               Aur Ham ny in sy pehly kitni he qomoñ ko (takzeeb-e-Anmbiaa a.s ki wajjah sy) halaak kr dia hy, kia Aap on meiñ sy kisi ka wajood bhi daikhty heñ ya kisi ki koi aahat bhi sunty heñ? (wo sb neest-o-nabood kr diye gaey isi tarrah ye log agar wohi treeqa ikhteyaar kreñ gy to in ka bhi wohi injaam ho ga)¤ <LAST AAYAAT OF SURAH MAR'YAM>
Surah MAR'YAM Makki Surah hy.
SURAH MAR'YAM ki tafseel ye hy.
Ruku : 6
Para  : 16 (Ruku 04 to 09)
Aayaat    :    98
Kalimaat :  780






Surah MAR’YAM ka Tarjuma (June 8 to July 11, 2013) 34 din meiñ mukammal huwa